Ali Jawwad Zaidi

tere halke se tabassum ka ishaara bhi to ho

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
tere halke se tabassum kā ishārā bhī to ho
tā sar-e-dār pahuñchne kā sahārā bhī to ho
shikva o tanz se bhī kaam nikal jaate haiñ
ġhairat-e-ishq ko lekin ye gavārā bhī to ho
mai-kashoñ meñ na sahī tishna-laboñ meñ hī sahī
koī gosha tirī mahfil meñ hamārā bhī to ho
kis taraf moḌ deñ TuuTī huī kashtī apnī
aise tūfāñ meñ kahīñ koī kinārā bhī to ho
hai ġham-e-ishq meñ ik lazzat-e-jāved magar
is ġham-e-dahr se ai dil koī chārā bhī to ho
mai-kade bhar pe tirā haq hai magar pīr-e-muġhāñ
ik kisī chiiz pe rindoñ kā ijārā bhī to ho
ashk-e-ḳhūnīñ se jo sīñche the bayābāñ ham ne
un meñ ab laala o nasrīñ kā nazārā bhī to ho
jaam ubal paḌte haiñ mai luTtī hai ḳhum TūTte haiñ
nigah-e-nāz kā dar-parda ishārā bhī to ho
pī to luuñ āñkhoñ meñ umDe hue aañsū lekin
dil pe qaabū bhī to ho zabt kā yaarā bhī to ho
aap is vādi-e-vīrāñ meñ kahāñ aa pahuñche
maiñ gunahgār magar maiñ ne pukārā bhī to ho
Top Urdushayar.com