Ali Jawwad Zaidi

tere halke se tabassum ka ishaara bhi to ho

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004

tere halke se tabassum ishārā bhī to ho

sar-e-dār pahuñchne sahārā bhī to ho

shikva o tanz se bhī kaam nikal jaate haiñ

ġhairat-e-ishq ko lekin ye gavārā bhī to ho

mai-kashoñ meñ na sahī tishna-laboñ meñ sahī

koī gosha tirī mahfil meñ hamārā bhī to ho

kis taraf moḌ deñ TuuTī huī kashtī apnī

aise tūfāñ meñ kahīñ koī kinārā bhī to ho

hai ġham-e-ishq meñ ik lazzat-e-jāved magar

is ġham-e-dahr se ai dil koī chārā bhī to ho

mai-kade bhar pe tirā haq hai magar pīr-e-muġhāñ

ik kisī chiiz pe rindoñ ijārā bhī to ho

ashk-e-ḳhūnīñ se jo sīñche the bayābāñ ham ne

un meñ ab laala o nasrīñ nazārā bhī to ho

jaam ubal paḌte haiñ mai luTtī hai ḳhum TūTte haiñ

nigah-e-nāz dar-parda ishārā bhī to ho

to luuñ āñkhoñ meñ umDe hue aañsū lekin

dil pe qaabū bhī to ho zabt yaarā bhī to ho

aap is vādi-e-vīrāñ meñ kahāñ aa pahuñche

maiñ gunahgār magar maiñ ne pukārā bhī to ho

Top Urdushayar.com