shikve  ham  apnī  zabāñ  par  kabhī  laa.e  to  nahīñ
haañ  magar  ashk  jab  umDe  the  chhupā.e  to  nahīñ
terī  mahfil  ke  bhī  ādāb  ki  dil  Dartā  hai
merī  āñkhoñ  ne  durr-e-ashk  luTā.e  to  nahīñ
chhān  lī  ḳhaak  bayābānoñ  kī  vīrānoñ  kī
phir  bhī  andāz-e-junūñ  aql  ne  paa.e  to  nahīñ
laakh  pur-vahshat  o  pur-haul  sahī  shām-e-firāq
ham  ne  ghabrā  ke  diye  din  se  jalā.e  to  nahīñ
ab  to  is  baat  pe  bhī  sulh  sī  kar  lī  hai  ki  vo
na  bulā.e  na  sahī  dil  se  bhulā.e  to  nahīñ
hijr  kī  raat  ye  har  Dūbte  taare  ne  kahā
ham  na  kahte  the  na  ā.eñge  vo  aa.e  to  nahīñ
inqilāb  aate  haiñ  rahte  haiñ  jahāñ  meñ  lekin
jo  banāne  kā  na  ho  ahl  miTā.e  to  nahīñ
apnī  is  shoḳhi-e-raftār  kā  anjām  na  soch
fitne  ḳhud  uThne  lage  tū  ne  uThā.e  to  nahīñ