Ali Jawwad Zaidi

hai KHamosh aansuon mein bhi nashat-e-kaamrani

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
hai ḳhamosh āñsuoñ meñ bhī nashāt-e-kāmrānī
koī sun rahā hai shāyad mirī dukh bharī kahānī
yahī thartharāte aañsū yahī nīchī nīchī nazreñ
yahī un kī bhī nishānī yahī apnī bhī nishānī
ye nizām-e-bazm-e-sāqī kahīñ rah sakegā baaqī
ki ḳhushī to chand lamhe ġham o dard jāvedānī
haiñ vajūd-e-shai meñ pinhāñ azal o abad ke rishte
yahāñ kuchh nahīñ do roza koī shai nahīñ hai faanī
tirī baat kyā hai vaa.iz mirā dil vo hai ki jis ne
isī mai-kade meñ aksar mirī baat bhī na maanī
pai-e-raf-e-bad-gumānī maiñ vafā barat rahā thā
mirī pai-ba-pai vafā se baḌhī aur bad-gumānī
mirā mai-kada salāmat ki har ek qaid uThā dī
na to dair kī ġhulāmī na haram kī pāsbānī
karūñ un se laakh shikve magar un se shikva karnā
na tarīqa-e-mohabbat na rivāyat-e-javānī
Top Urdushayar.com