hai  ḳhamosh  āñsuoñ  meñ  bhī  nashāt-e-kāmrānī
koī  sun  rahā  hai  shāyad  mirī  dukh  bharī  kahānī
yahī  thartharāte  aañsū  yahī  nīchī  nīchī  nazreñ
yahī  un  kī  bhī  nishānī  yahī  apnī  bhī  nishānī
ye  nizām-e-bazm-e-sāqī  kahīñ  rah  sakegā  baaqī
ki  ḳhushī  to  chand  lamhe  ġham  o  dard  jāvedānī
haiñ  vajūd-e-shai  meñ  pinhāñ  azal  o  abad  ke  rishte
yahāñ  kuchh  nahīñ  do  roza  koī  shai  nahīñ  hai  faanī
tirī  baat  kyā  hai  vaa.iz  mirā  dil  vo  hai  ki  jis  ne
isī  mai-kade  meñ  aksar  mirī  baat  bhī  na  maanī
pai-e-raf-e-bad-gumānī  maiñ  vafā  barat  rahā  thā
mirī  pai-ba-pai  vafā  se  baḌhī  aur  bad-gumānī
mirā  mai-kada  salāmat  ki  har  ek  qaid  uThā  dī
na  to  dair  kī  ġhulāmī  na  haram  kī  pāsbānī
karūñ  un  se  laakh  shikve  magar  un  se  shikva  karnā
na  tarīqa-e-mohabbat  na  rivāyat-e-javānī