diin  o  dil  pahlī  hī  manzil  meñ  yahāñ  kaam  aa.e
aur  ham  rāh-e-vafā  meñ  koī  do  gaam  aa.e
tum  kaho  ahl-e-ḳhirad  ishq  meñ  kyā  kyā  biitī
ham  to  is  raah  meñ  nā-vāqif-e-anjām  aa.e
lazzat-e-dard  milī  ishrat-e-ehsās  milī
kaun  kahtā  hai  ham  us  bazm  se  nākām  aa.e
vo  bhī  kyā  din  the  ki  ik  qatra-e-mai  bhī  na  milā
aaj  aa.e  to  ka.ī  baar  ka.ī  jaam  aa.e
ik  hasīñ  yaad  se  vābasta  haiñ  lākhoñ  yādeñ
ashk  umañD  aate  haiñ  jab  lab  pe  tirā  naam  aa.e
sī  liye  hoñT  magar  dil  meñ  ḳhalish  rahtī  hai
is  ḳhamoshī  kā  kahīñ  un  pe  na  ilzām  aa.e
chand  dīvānoñ  se  raushan  thī  galī  ulfat  kī
varna  fānūs  to  lākhoñ  hī  sar-e-bām  aa.e
ye  bhī  badle  hue  hālāt  kā  partav  hai  ki  vo
ḳhalvat-e-ḳhās  se  tā  jalva-gah-e-ām  aa.e
ho  ke  māyūs  maiñ  paimāna  bhī  jab  toḌ  chukā
chashm-e-sāqī  se  piyā  pe  ka.ī  paiġhām  aa.e
shahr  meñ  pahle  se  badnām  the  yuuñ  bhī  'zaidī'
ho  ke  mai-ḳhāne  se  kuchh  aur  bhī  badnām  aa.e