ik  āh-e-zer-e-lab  ke  gunahgār  ho  ga.e
ab  ham  bhī  dāḳhil-e-saf-e-aġhyār  ho  ga.e
jis  dard  ko  samajhte  the  ham  un  kā  faiz-e-ḳhās
us  dard  ke  bhī  laakh  ḳharīdār  ho  ga.e
jin  hausloñ  se  merā  junūñ  mutma.in  na  thā
vo  hausle  zamāne  ke  me.aar  ho  ga.e
har  va.ada  jaise  harf-e-ġhalat  thā  sarāb  thā
ham  to  nisār-e-jur.at-e-inkār  ho  ga.e
sarsabz  pattiyoñ  kā  lahū  chuus  chuus  kar
kitne  hī  phuul  raunaq-e-gulzār  ho  ga.e
'zaidī'  ne  taaza  sher  sunā.e  ba-rañg-e-ḳhās
ham  bhī  ḳhudā-e-shoḳhī-e-afkār  ho  ga.e