nayā  mai-kade  meñ  nizām  aa  gayā
uThīñ  bandisheñ  izn-e-ām  aa  gayā
nazar  meñ  vo  kaif-e-davām  aa  gayā
ki  goyā  kisī  kā  payām  aa  gayā
mohabbat  meñ  vo  bhī  maqām  aa  gayā
ki  mizhgāñ  pe  ḳhuuñ  lab  pe  naam  aa  gayā
sar-e-rāh  kāñTe  bichhātā  hai  shauq
junūñ  ko  bhī  kuchh  ehtimām  aa  gayā
na  ilzām  un  par  na  aġhyār  par
ye  dil  aap  hī  zer-e-dām  aa  gayā
badal  hī  gayā  bazm-e-ishrat  kā  rañg
mirā  naġhma-e-dard  kaam  aa  gayā
kidhar  se  ye  sankī  mahaktī  havā
kidhar  se  vo  nāzuk-ḳhirām  aa  gayā
tamāshā  nahīñ  thā  mirā  iztirāb
koī  kyuuñ  ye  bālā-e-bām  aa  gayā
bayāñ  ho  rahā  thā  fasāna  mirā
magar  bār-bār  un  kā  naam  aa  gayā
kabhī  sāmne  kuchh  ḳhamoshī  rahī
kabhī  duur  se  kuchh  payām  aa  gayā
jo  dār-o-rasan  se  bhī  ruktā  nahīñ
saroñ  meñ  vo  saudā-e-ḳhām  aa  gayā
vo  'zaidī'  vahī  rind-e-ātish-navā
vo  zinda  diloñ  kā  imaam  aa  gayā