Ali Jawwad Zaidi

uf wo ek harf-e-tamanna jo hamare dil mein tha

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
uf vo ik harf-e-tamannā jo hamāre dil meñ thā
ek tūfāñ thā ki barsoñ hasrat-e-sāhil meñ thā
rafta rafta har tamāshā āñsuoñ meñ Dhal gayā
jaane kyā āñkhoñ ne dekhā aur kyā manzil meñ thā
dāstān-e-ġham se lākhoñ dāstāneñ ban ga.ī
phir bhī vo ik rāz-e-sar-basta rahā jo dil meñ thā
chashm-e-sāqī ke alāva jām-e-ḳhālī ke sivā
kaun apnā āshnā aġhyār kī mahfil meñ thā
mere armānoñ kā markaz mere dardoñ kā ilaaj
TimTimātā sā diyā ik gosha-e-manzil meñ thā
guftugū ke ḳhatm ho jaane par aayā ye ḳhayāl
jo zabāñ tak aa nahīñ paayā vahī to dil meñ thā
miT ga.iiñ imroz o fardā kī hazāroñ uljhaneñ
jo sukūñ tūfāñ meñ paayā hai vo kab sāhil meñ thā
Top Urdushayar.com