guloñ  kī  chaah  meñ  tauhīn-e-barg-o-bār  na  kar
bhare  chaman  meñ  ye  sāmān-e-intishār  na  kar
ḳhizāñ  riyāz-e-chaman  hai  ḳhizāñ  gudāz-e-chaman
ḳhizāñ  kā  Dar  ho  to  phir  ḳhvāhish-e-bahār  na  kar
bas  ek  dil  hai  yahāñ  vāqif-e-nasheb-o-farāz
vafā  kī  raah  meñ  rahbar  kā  intizār  na  kar
hujūm-e-ġham  meñ  tabassum  kā  khel  dekh  liyā
maiñ  kah  rahā  thā  mire  ġham  kā  e'tibār  na  kar
kahā  ye  ishq  se  dār-o-salīb-e-zindāñ  ne
majāl  ho  to  mirī  raah  iḳhtiyār  na  kar
ye  taaza  taaza  qafas  kyā  ḳhizāñ  se  kuchh  kam  haiñ
hujūm-e-gul  hī  se  andāza-e-bahār  na  kar
nasīm-e-sub.h  unheñ  muskurā  to  lene  de
abhī  guloñ  se  koī  zikr-e-nāgavār  na  kar
udhar  har  ek  nazar  meñ  hai  hasratoñ  kā  julūs
idhar  ye  hukm-e-hayā  hai  nigāheñ  chaar  na  kar
ye  pūchhnā  hai  kisī  din  janāb-e-'zaidī'  se
ki  aap  ne  to  kahā  thā  kisī  se  pyaar  na  kar