sāmne  rah  kar  na  honā  mas.ala  merā  bhī  hai
is  kahānī  meñ  izāfī  tazkira  merā  bhī  hai
be-sabab  āvārgī  masrūf  rakhtī  hai  mujhe
raat  din  bekār  phirnā  mashġhala  merā  bhī  hai
baat  kar  farhād  se  bhī  intihā-e-ishq  par
mashvara  mujh  se  bhī  kar  kuchh  tajraba  merā  bhī  hai
kyā  zarūrī  hai  añdhere  meñ  tirā  tanhā  safar
jis  pe  chalnā  hai  tujhe  vo  rāsta  merā  bhī  hai
hai  koī  jis  kī  lagan  gardish  meñ  rakhtī  hai  mujhe
ek  nukte  kī  kashish  se  dā.era  merā  bhī  hai
be-sabab  ye  raqs  hai  merā  bhī  apne  sāmne
aks  vahshat  hai  mujhe  bhī  aa.ina  merā  bhī  hai
ek  gum-karda  galī  meñ  ek  nā-maujūd  ghar
kūcha-e-ushshāq  meñ  'āsim'  pata  merā  bhī  hai