dabī  āvāz  meñ  kartī  thī  kal  shikve  zamīñ  mujh  se
ki  zulm  o  jaur  kā  ye  bojh  uTh  saktā  nahīñ  mujh  se
agar  ye  kashmakash  baaqī  rahī  jahl  o  tamaddun  kī
zamāna  chhīn  legā  daulat-e-ilm-o-yaqīñ  mujh  se
tumhīñ  se  kyā  chhupānā  hai  tumhārī  hī  to  bāteñ  haiñ
jo  kahtī  hai  tamannā  kī  nigāh-e-vāpsīñ  mujh  se
nigāheñ  chaar  hote  hī  bhalā  kyā  hashr  uTh  jaatā
yaqīnan  is  se  pahle  bhī  mile  haiñ  vo  kahīñ  mujh  se
dikhā  dī  maiñ  ne  vo  manzil  jo  in  donoñ  ke  aage  hai
pareshāñ  haiñ  ki  āḳhir  ab  kaheñ  kyā  kufr  o  diiñ  mujh  se
ye  maanā  zarra-e-āvāra-e-dasht-e-vafā  huuñ  maiñ
nibhānā  hī  paḌegā  tujh  ko  duniyā-e-hasīñ  mujh  se
sar-e-manzil  pahuñch  kar  aaj  ye  mahsūs  hotā  hai
ki  lākhoñ  laġhzisheñ  har  gaam  par  hotī  rahīñ  mujh  se
udhar  saarī  tamannāoñ  kā  markaz  āstāñ  un  kā
idhar  barham  tamannā  par  mirī  sarkash  jabīñ  mujh  se