tire  dayār  meñ  koī  ġham-āshnā  to  nahīñ
magar  vahāñ  ke  sivā  aur  rāstā  to  nahīñ
simaT  ke  aa  ga.ī  duniyā  qarīb-e-mai-ḳhāna
koī  batāo  yahī  ḳhāna-e-ḳhudā  to  nahīñ
laboñ  par  aaj  tabassum  kī  mauj  machlī  hai
koī  mujhe  kisī  goshe  se  dekhtā  to  nahīñ
banā  leñ  raah  isī  ḳhār-zār  se  ho  kar
junūn-e-shauq  kā  ye  faisla  burā  to  nahīñ
sabab  ho  kuchh  bhī  tire  infi.āl  kā  lekin
mirī  shikast  se  pahle  kabhī  huā  to  nahīñ
na  reg-e-garm  na  kāñTe  na  rāhzan  na  ġhanīm
ye  rāsta  kahīñ  ġhairoñ  kā  rāsta  to  nahīñ
dayār-e-sajda  meñ  taqlīd  kā  rivāj  bhī  hai
jahāñ  jhukī  hai  jabīñ  un  kā  naqsh-e-pā  to  nahīñ
ḳhayāl-e-sāhil  o  fikr-e-tabāh-kāri-e-mauj
ye  sab  hai  phir  bhī  tamannā-e-nāḳhudā  to  nahīñ