hāsil-e-ġham  yahī  samajhte  haiñ
maut  ko  zindagī  samajhte  haiñ
jis  ko  tere  alam  se  nisbat  hai
ham  usī  ko  ḳhushī  samajhte  haiñ
tum  sitam  meñ  kamī  na  farmāo
ham  ise  dushmanī  samajhte  haiñ
ham  charāġhoñ  meñ  chāñd  tāroñ  ke
aap  kī  raushnī  samajhte  haiñ
shaiḳh  jī  haiñ  farishtoñ  ke  ustād
aap  unheñ  aadmī  samajhte  haiñ
husn-e-mauzūñ  ke  zikr  ko  'anvar'
maqsad-e-shā.irī  samajhte  haiñ