Anwar Sabri

nigah-o-dil se guzri dastan tak baat ja pahunchi

Anwar Sabri

1896-1985

nigāh-o-dil se guzrī dāstāñ tak baat pahuñchī

mire hoñToñ se niklī aur kahāñ tak baat pahuñchī

bahe aañsū zamīñ par āsmāñ tak baat pahuñchī

kahī zarroñ se lekin kahkashāñ tak baat pahuñchī

abhī hai iḳhtilāf-e-jām-o-mīnā raaz had tak

na-jāne kyā ho gar pīr-o-muġhāñ tak baat pahuñchī

raqīboñ ne yūñhī da.avā kiyā thā jāñ-nisārī

magar merī badaulat imtihāñ tak baat pahuñchī

samajhte the rahegī zindagī mahdūd-e-gul-bulbul

magar taḳhrīb-e-nazm-e-gulistāñ tak baat pahuñchī

chhiḌā thā bazm meñ kal tazkira mizhgān-o-abrū

baḌhī kuchh is qadar teġh-o-sināñ tak baat pahuñchī

ma.āl-e-jurm-e-taqsīm-e-vatan kyā kam thā rone ko

ki ab fikr-o-malāl-e-āshiyāñ tak baat pahuñchī

chhupā rakhā thā jis ko muddatoñ se dil meñ ai 'anvar'

hazār afsos vo sharh-o-bayāñ tak baat pahuñchī

Top Urdushayar.com