zulmatoñ  meñ  raushnī  kī  justujū  karte  raho
zindagī  bhar  zindagī  kī  justujū  karte  raho
jis  pe  ho  saaqī  ba-zom-e-hosh-mandī  bhī  fidā
us  mukammal  be-ḳhudī  kī  justujū  karte  raho
be-junūñ  chaltā  nahīñ  hai  kār-e-tāmīr-e-hayāt
hosh  vaalo  āgahī  kī  justujū  karte  raho
ādmiyat  ke  sivā  jis  kā  koī  maqsad  na  ho
umr  bhar  us  aadmī  kī  justujū  karte  raho
shart-e-irfān-e-ḳhudā  'anvar'  hai  ḳhud  apnī  talāsh
yuuñ  to  karne  ko  kisī  kī  justujū  karte  raho