atā-e-ġham  pe  bhī  ḳhush  huuñ  mirī  ḳhushī  kyā  hai
razā  talab  jo  nahīñ  hai  vo  bandagī  kyā  hai
tirī  nigāh  kī  naqqāshi-e-hasīñ  ke  sivā
tū  hī  batā  mirā  mafhūm-e-zindagī  kyā  hai
sitam-shi.ār  jafā-āshnā  vafā-dushman
ye  nañg-e-azmat-e-ādam  hai  aadmī  kyā  hai
tirā  tasavvur-e-rañgīñ  agar  na  ho  shāmil
bahār-e-gulshan-e-imkāñ  meñ  dilkashī  kyā  hai
zamāna  aap  kā  kahtā  hai  jis  ko  aks-e-jamīl
nazar  uThā  ke  to  dekho  ye  chāndnī  kyā  hai
tamām  umr  qafas  meñ  guzār  dī  ham  ne
ḳhabar  nahīñ  ki  nasheman  kī  zindagī  kyā  hai