Anwar Sabri

talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja

Anwar Sabri

1896-1985
talḳhāba-e-ġham ḳhanda-jabīñ ho ke piye jā
mauhūm umīdoñ ke sahāroñ pe jiye jā
māyūs na ho be-ruḳhī-e-chashm-e-jahāñ se
shā.ista-e-ehsās koī kaam kiye jā
shikva na kar is daur-e-junūñ-zād kā koī
taqdīr-e-ḳhirad-soz ko ilzām diye jā
auroñ ko garebāñ kī tujhe fikr hī kyuuñ ho
tū apnī hī sad-chāki-e-dāmāñ ko siye jā
har lamha taġhayyur pe nigāhoñ ko jamā.e
tū jā.iza-e-gardish-e-ayyām liye jā
is jabr-e-mashiyyat ko to sahnā hī paḌegā
be-kaif sahī un ke ishāroñ pe jiye jā
saaqī kī nazar se koī nisbat hai to 'anvar'
piine kī adā ye bhī hai be-jām piye jā
Top Urdushayar.com