Anwar Sabri

unki mahfil mein hamesha se yahi dekha riwaj

Anwar Sabri

1896-1985
un kī mahfil meñ hamesha se yahī dekhā rivāj
aañkh se bīmār karte haiñ tabassum se ilaaj
maiñ jo royā un kī āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e
husn kī fitrat meñ shāmil hai mohabbat kā mizāj
merī ḳhātir ḳhud uThāte haiñ vo taklīf-e-karam
kaun rakhtā varna mujh jaise gunahgāroñ kī laaj
mere hone aur na hone par hī kyā mauqūf hai
maut par un kī hukūmat zindagī par un kā raaj
uf vo aariz jis ke jalvoñ par fidā mehr-e-mubīñ
aah vo lab jin ko dete haiñ mah o anjum ḳhirāj
maiñ huuñ 'anvar' un kī zāt-e-pāk kā adnā ġhulām
hai sar-e-aqdas pe jin ke rahmat-e-yazdāñ kā taaj
Top Urdushayar.com