daur-e-hāzir  ho  gayā  hai  is  qadar  kam-āshnā
āshnā  hamdam  hai  koī  ab  na  hamdam-āshnā
aah  kis  manzil  pe  pahuñchī  haiñ  mirī  tanhā.iyāñ
DhūñDne  se  bhī  nahīñ  miltā  mujhe  ġham-āshnā
muḳhtasar  ye  hai  mire  qalb  o  nazar  kī  dāstāñ
āshnā-e-dard-e-dil  hai  aañkh  hai  nam-āshnā
allāh  allāh  ye  fazā-e-dushman-e-mehr-o-vafā
āshnā  ke  naam  se  hotā  hai  barham  āshnā
umr  bhar  'anvar'  rahūñgā  aarzū  kā  sogvār
marg-e-armāñ  par  azal  se  huuñ  maiñ  mātam-āshnā