Anwar Sabri

wo nichi nigahen wo haya yaad rahegi

Anwar Sabri

1896-1985
vo nīchī nigāheñ vo hayā yaad rahegī
mil kar bhī na milne kī adā yaad rahegī
mumkin hai mire baad bhulā deñ mujhe lekin
tā umr unheñ merī vafā yaad rahegī
jab maiñ hī nahīñ yaad rafīqān-e-safar ko
hairāñ huuñ ki manzil unheñ kyā yaad rahegī
kuchh yaad rahe yā na rahe zikr-e-gulistāñ
ġhunchoñ ke chaTakne kī sadā yaad rahegī
mahrūm rahe ahl-e-chaman nik.hat-e-gul se
be-gānagi-e-mauj-e-sabā yaad rahegī
palkoñ pe larazte rahe 'anvar' jo shab-e-ġham
mujh ko unhīñ tāroñ kī ziyā yaad rahegī
Top Urdushayar.com