vo  nīchī  nigāheñ  vo  hayā  yaad  rahegī
mil  kar  bhī  na  milne  kī  adā  yaad  rahegī
mumkin  hai  mire  baad  bhulā  deñ  mujhe  lekin
tā  umr  unheñ  merī  vafā  yaad  rahegī
jab  maiñ  hī  nahīñ  yaad  rafīqān-e-safar  ko
hairāñ  huuñ  ki  manzil  unheñ  kyā  yaad  rahegī
kuchh  yaad  rahe  yā  na  rahe  zikr-e-gulistāñ
ġhunchoñ  ke  chaTakne  kī  sadā  yaad  rahegī
mahrūm  rahe  ahl-e-chaman  nik.hat-e-gul  se
be-gānagi-e-mauj-e-sabā  yaad  rahegī
palkoñ  pe  larazte  rahe  'anvar'  jo  shab-e-ġham
mujh  ko  unhīñ  tāroñ  kī  ziyā  yaad  rahegī