tasavvur  ke  sahāre  yuuñ  shab-e-ġham  ḳhatm  kī  maiñ  ne
jahāñ  dil  kī  ḳhalish  ubhrī  tumheñ  āvāz  dī  maiñ  ne
talab  kī  raah  meñ  khā  kar  shikast-e-āgahī  maiñ  ne
junūñ  kī  kāmyābī  par  mubārakbād  dī  maiñ  ne
dam-e-āḳhir  bahut  achchhā  kiyā  tashrīf  le  aa.e
salām-e-ruḳhsatāna  ko  pukārā  thā  abhī  maiñ  ne
zabāñ  se  jab  na  kuchh  yārā-e-sharh-e-ārzū  paayā
nigāhoñ  se  huzūr-e-husn  aksar  baat  kī  maiñ  ne
nasheman  ko  bhī  ik  partav  qafas  kā  jaan  kar  'anvar'
basā-auqāt  kī  hai  bijliyoñ  kī  rahbarī  maiñ  ne