vo dekh kar na rukā aur guzar ga.e ham bhī
duā-e-shab kī tarah be-asar ga.e ham bhī
samā.atoñ ke jazīre talak rasā.ī na thī
vo be-ḳhabar hī rahā be-samar ga.e ham bhī
yahī kaheñge ki ik ḳhauf thā bulandī kā
kisī ke bām-e-nazar se utar ga.e ham bhī
milā vo zor-e-tasavvur subuk-irāda hue
musībat aane se pahle hī Dar ga.e ham bhī
shanāvarī pe kahīñ harf hī na aa jaa.e
agar tarāsh ke dariyā guzar ga.e ham bhī
ḳhudā bhī to kabhī yaksāniyat se uktā.e
kamāl kaun sā hogā jo mar ga.e ham bhī
sadā-e-ḳhvāb to the aise chuur chuur hue
ġhubār ban ke fazā meñ bikhar ga.e ham bhī