Salahuddin Faiq Burhanpuri

mazaq-e-gham se nikhrega shuur-e-karwan kab tak

Salahuddin Faiq Burhanpuri

mazāq-e-ġham se nikhregā shu.ūr-e-kārvāñ kab tak
asīr-e-rahbarī DhūñDeñge qadmoñ ke nishāñ kab tak
zarā zaḳhmoñ pe dil ke aur thoḌī sī namak-pāshī
nikhartā hī nahīñ dekheñ ye husn-e-gulsitāñ kab tak
ḳhudī ko bech kar sajda koī sajda nahīñ hotā
jabīn-e-shauq se kah do talāsh-e-āstāñ kab tak
mire afkār meñ bālīdgī hai husn-e-qismat kab
tere hoñToñ pe ai shā.ir hadīs-e-dil-barāñ kab tak
numūd-e-sub.h se pahle sar-e-manzil pahuñchnā hai
dhuñdlakoñ se ye ghabrāhaT amīr-e-kārvāñ kab tak
kafan bāñdhe hue sar se shu.ūr-e-zindagī ubhrā
tirī nazroñ meñ saaqī gardish-e-ratl-e-garāñ kab tak
zamāna karvaTeñ letā hai ta.amīrī irādoñ se
na jaane terī āñkhoñ meñ rahe ḳhvāb-e-girāñ kab tak
asīroñ kā ta.alluq kyā bahār-e-sahn-e-gulshan se
qafas meñ aa.egī jaane bahār-e-jāvedāñ kab tak
ḳhudī se kaam le taqdīr shāyad kaam aa jaa.e
hujūm-e-ġham meñ 'fā.iq' shorish-e-āh-o-fuġhāñ kab tak
Top Urdushayar.com