Zia Jalandhari

jab unhi ko na suna pae gham-e-jaan apna

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
jab unhī ko na sunā paa.e ġham-e-jāñ apnā
chup lagī aisī ki ḳhud ho ga.e zindāñ apnā
nā-rasā.ī kā bayābāñ hai ki irfāñ apnā
is jagah ahrman apnā hai na yazdāñ apnā
dam kī mohlat meñ hai tasḳhīr-e-mah-o-mehr kī dhun
saañs ik silsila-e-ḳhvāb-e-darḳhshāñ apnā
talab us kī hai ki jo sarhad-e-imkāñ meñ nahīñ
merī har raah meñ haa.il hai bayābāñ apnā
kaisī duurī usī shole kī hai zau merā jamāl
jis se tābinda rahā dīda-e-giryāñ apnā
armuġhāñ haiñ tirī chāhat ke shagufta lamhe
be-ḳhudī apnī shab apnī mah-e-tābāñ apnā
is tarah aks paḌā tere shafaq hoñToñ kā
sub.h-e-gulzār huā sīna-e-vīrāñ apnā
aisī ghaḌiyāñ ka.ī mujh aisoñ pe aa.ī hoñgī
vaqt ne jin se sajā rakkhā hai aivāñ apnā
Top Urdushayar.com