de  gayā  dard-e-be-talab  koī
merā  hamdard  thā  ajab  koī
kaun  niklā  hai  apnī  uljhan  se
aur  ko  pā  sakā  hai  kab  koī
ye  ujālā  ye  din  kahāñ  huuñ  maiñ
mujh  se  kuchh  kah  rahā  thā  shab  koī
ab  jo  rūThe  to  jaañ  pe  bantī  hai
ḳhush  huā  mujh  se  be-sabab  koī
merī  manzil  mujhe  nahīñ  ma.alūm
sub.h  koī  hai  aur  shab  koī
maut  aur  aarzū  kī  maut  'ziyā'
haañ  bahut  mutma.in  hai  ab  koī