Zia Jalandhari

chand hi nikla na baadal hi chhama-chham barsa

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
chāñd hī niklā na bādal hī chhamā-chham barsā
raat dil par ġham-e-dil sūrat-e-shabnam barsā
jaltī jaatī haiñ jaḌeñ sūkhte jaate haiñ shajar
ho jo taufīq to aañsū hī koī dam barsā
mere armān the barsāt ke bādal kī tarah
ġhunche shākī haiñ ki ye abr bahut kam barsā
pai-ba-pai aa.e sajal tāroñ ke mānind ḳhayāl
merī tanhā.ī pe shab husn jhamā-jham barsā
kitne nā-paid ujāloñ se kiyā hai ābād
vo añdherā jo mirī āñkhoñ pe paiham barsā
sard jhoñkoñ ne kahī suunī rutoñ se kyā baat
kin tamannāoñ kā ḳhuuñ shāḳhoñ se tham tham barsā
qarya qarya thī 'ziyā' hasrat-e-ābādī-e-dil
qarya qarya vahī vīrānī kā aalam barsā
Top Urdushayar.com