gumāñ  thā  yā  tirī  ḳhushbū  yaqīn  ab  bhī  nahīñ
nahīñ  havā  pe  bharosa  to  kuchh  ajab  bhī  nahīñ
khileñ  to  kaise  khileñ  phuul  ujaaḌ  sahrā  meñ
sahāb-e-ḳhvāb  nahīñ  girya-e-talab  bhī  nahīñ
hañsī  meñ  chhup  na  sakī  āñsuoñ  se  dhul  na  sakī
ajab  udāsī  hai  jis  kā  koī  sabab  bhī  nahīñ
Thahar  gayā  hai  mire  dil  meñ  ik  zamāne  se
vo  vaqt  jis  kī  sahar  bhī  nahīñ  hai  shab  bhī  nahīñ
tamām  umr  tire  iltifāt  ko  tarsā
vo  shaḳhs  jo  hadaf-e-nāvak-e-ġhazab  bhī  nahīñ
gilā  karo  to  vo  kahte  haiñ  yuuñ  raho  jaise
tumhāre  chehroñ  pe  āñkheñ  nahīñ  haiñ  lab  bhī  nahīñ
mufāhamat  na  kar  arzāñ  na  ho  bharam  na  gañvā
har  ik  nafas  ho  agar  ik  salīb  tab  bhī  nahīñ
burā  na  maan  'ziyā'  us  kī  sāf-goī  kā
jo  dard-mand  bhī  hai  aur  be-adab  bhī  nahīñ