Zia Jalandhari

kaise dukh kitni chah se dekha

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
kaise dukh kitnī chaah se dekhā
tujhe kis kis nigāh se dekhā
shiddat-e-lā-zavāl se chāhā
hasrat-e-be-panāh se dekhā
itnā sochā tujhe ki duniyā ko
ham ne terī nigāh se dekhā
shauq kyā ġhair-mo'tabar Thahrā
tū ne jab ishtibāh se dekhā
apnī tārīk zindagī meñ tujhe
ḳhūb-tar mahr o maah se dekhā
ahl-e-dil par tirī kashish kā asar
apne hāl-e-tabāh se dekhā
dushmanoñ se jo ġham na dekhā thā
koshish-e-ḳhair-ḳhvāh se dekhā
ġham girāñ-tar hai koh se jaanā
ham subuk-tar haiñ kaah se dekhā
dā.imī dūriyoñ kā sadma 'ziyā'
sarsarī rasm-o-rāh se dekhā
Top Urdushayar.com