Zia Jalandhari

aaj hi mahfil sard paDi hai aaj hi dard farawan hai

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
aaj hī mahfil sard paḌī hai aaj hī dard farāvāñ hai
koī to dil kī bāteñ chheḌo yaaro mahfil-e-yārāñ hai
mere har ādarsh kā aalam ab to ālam-e-vīrāñ hai
dil meñ terī tamannā jaise mauj-e-reg-e-bayābāñ hai
paañv thakan se chuur haiñ lekin dil meñ sho.ala-e-imkāñ hai
mere liye ik karb-e-musalsal terā jamāl-e-gurezāñ hai
mujh se milne ke ḳhvāhāñ ho mil kar rone se hāsil
phir vo aag bhaḌak uTThegī ab jo raakh meñ pinhāñ hai
ain-ḳhizāñ meñ havā ne shāyad naam liyā hai bahāroñ kā
Tahnī Tahnī kaañp uTThī hai pattā pattā larzāñ hai
aa to ga.e haiñ aane vaale kaise istiqbāl kareñ
ab vo ābādī suunī hai ab vo gharauñdā vīrāñ hai
tere dukh ko pā kar ham to apnā dukh bhī bhuul ga.e
kis ko ḳhabar thī terī ḳhamoshī tah-dar-tah ik tūfāñ hai
Top Urdushayar.com