Zia Jalandhari

ajab kashakash-e-bim-o-raja hai tanhai

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012

ajab kashākash-e-bīm-o-rajā hai tanhā.ī

tire baġhair tirā sāmnā hai tanhā.ī

na.e dinoñ salībeñ ga.e dinoñ ke mazār

azaab ḳhud se mulāqāt hai tanhā.ī

fazā meñ haiñ kisī tūfān-e-tund ke āsār

safar tavīl hai aur rāstā hai tanhā.ī

bahut udaas hai dil dostoñ mahfil meñ

har ek aañkh meñ chehra-numā hai tanhā.ī

shagufta phūloñ gul-dasta sohbat-e-yārāñ

bikharte pattoñ ik Dher hai tanhā.ī

maiñ āftāb ko kaise dikhā.ūñ tārīkī

tujhe maiñ kaise batā.ūñ ki kyā hai tanhā.ī

ajab sukūn thā shab āñsuoñ bārish meñ

vo ġham-gusār vo dard-āshnā hai tanhā.ī

vo ḳhvāb kyā thā ki jis hayāt hai ta.abīr

vo jurm kyā thā ki jis sazā hai tanhā.ī

nahīñ mile the to tanhā.ī kis qadar thī 'ziyā'

vo mil ke bichhḌe to us se sivā hai tanhā.ī

Top Urdushayar.com