nigāhoñ  meñ  ye  kyā  farmā  ga.ī  ho
mirī  sāñsoñ  ke  taar  uljhā  ga.ī  ho
dar-o-dīvār  meñ  hai  ajnabiyat
maiñ  ḳhud  bhī  kho  gayā  tum  kyā  ga.ī  ho
pareshāñ  ho  ga.e  ta.abīr  se  ḳhvāb
ki  jaise  kuchh  badal  kar  aa  ga.ī  ho
tamannā  intizār-e-dost  ke  ba.ad
kalī  jaise  koī  murjhā  ga.ī  ho
ye  aañsū  ye  pashemānī  kā  iz.hār
mujhe  ik  baar  phir  bahkā  ga.ī  ho
'ziyā'  vo  zindagī  kyā  zindagī  hai
jise  ḳhud  maut  bhī  Thukrā  ga.ī  ho