āñkhoñ meñ nihāñ hai jo munājāt vo tum ho
jis samt safar meñ hai mirī zaat vo tum ho
jo sāmne hotā hai koī aur hai shāyad
jo dil meñ hai ik ḳhvāb-e-mulāqāt vo tum ho
din aa.e ga.e jaise sarā.e meñ musāfir
Thahrī rahī āñkhoñ meñ jo ik raat vo tum ho
har baat meñ shāmil haiñ tasavvur ke ka.ī rañg
har rañg-e-tasavvur meñ hai jo baat vo tum ho
jab dhuul hue rāh-e-safar meñ to ye jaanā
manzil-gah-e-jāñ haiñ jo maqāmāt vo tum ho
dukh had se jo guzrā to khulā dil pe ki yuuñ bhī
dar-parda hai jo mahv-e-mudārāt vo tum ho
dil-jūī kā andāz bhī narmī bhī vahī hai
siine pe havā rakhtī hai jo haat vo tum ho
baaqī to añdhere hī muhīt-e-dil-o-jāñ haiñ
mahr-o-mah-o-anjum haiñ jo lamhāt vo tum ho
haañ mujh pe sitam bhī haiñ bahut vaqt ke lekin
kuchh vaqt kī haiñ mujh pe ināyāt vo tum ho