Zia Jalandhari

ek KHwab tha aankhon mein jo ab ashk-e-sahar hai

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
ik ḳhvāb thā āñkhoñ meñ jo ab ashk-e-sahar hai
ik tā.ir-e-vahshī thā so vo ḳhuun meñ tar hai
vo duur nahīñ hai ye rasā.ī nahīñ hotī
har lamha koī taaza ḳham-e-rāhguzar hai
dil aaj kuchh is tarah dhaḌaktā hai ki jaise
ab shauq-e-mulāqāt pe haavī koī Dar hai
kuchh hausla-e-zabt hai kuchh vaz.a hai apnī
sho.ala na banā lab pe jo siine meñ sharar hai
sunte to rahe sab kī ye hasrat rahī dil meñ
ham par bhī khule ziist kā mafhūm agar hai
tārāj bahārāñ hai ki ik jashn-e-junūñ hai
raqsāñ haiñ bagūle ki havā ḳhāk-basar hai
āshufta kiyā itnā 'ziyā' dar-ba-darī ne
bāvar nahīñ aatā ki hamārā koī ghar hai
Top Urdushayar.com