ham-zabāñ  ho  ga.e  ham  log  shanāsā.ī  huī
shab  ke  sannāToñ  meñ  jab  rū-ba-rū  tanhā.ī  huī
aap  kā  bazm  se  uTh  jaanā  mire  haq  meñ  rahā
aap  ke  baad  mirī  ḳhuub  pazīrā.ī  huī
pyaas  zaḳhmī  rahī  zindān  ke  darvāzoñ  tak
bahte  dariyāo  kahāñ  tum  se  masīhā.ī  huī
pahle  kuchh  abr  ke  TukḌoñ  sā  thā  larzāñ  us  par
baad  meñ  kyā  huā  kyoñ  shakl  thī  gahnā.ī  huī
merī  bastī  to  dil-āzār  pasand  bastī  hai
kyoñ  tire  shahr  meñ  mehmān  kī  rusvā.ī  huī
ek  muddat  huī  jis  laash  ko  dafnā.e  hue
aaj  vo  laash  milī  nahr  meñ  utrā.ī  huī
sirf  mīrās-e-shahādat  hī  nahīñ  hisse  meñ
daulat-e-girya-e-mazlūm  bhī  ābā.ī  huī