kahā  thā  us  ne  mohabbat  kī  aabrū  rakhnā
chubhe  hoñ  kitne  bhī  kāñTe  guloñ  kī  ḳhū  rakhnā
diloñ  ko  toḌ  na  Daale  tumhārī  haq-goī
bajā.e  harf  ke  ā.īna  rū-ba-rū  rakhnā
jo  vaqt  ahl-e-vafā  se  kabhī  lahū  māñge
to  sab  se  pahle  lab-e-teġh  par  gulū  rakhnā
ḳhizāñ  se  haar  na  jaanā  kisī  bhī  hālat  meñ
numū  mile  na  mile  ḳhvāhish-e-numū  rakhnā
burā  na  kahnā  zamāne  ko  ham  zamāna  haiñ
hamāre  ba.ad  zamāne  se  guftugū  rakhnā
faqīh-e-shahr  ke  fatve  kī  haisiyat  kyā  hai
to  ḳhud  ko  apnī  nigāhoñ  meñ  surḳh-rū  rakhnā
visāl-e-dost  kī  saa.at  bhī  aane  vaalī  hai
sahar  qarīb  hai  'akbar'  abhī  vazū  rakhnā