kāfir  thā  maiñ  ḳhudā  kā  na  munkir  duā  kā  thā
lekin  yahāñ  savāl  shikast-e-anā  kā  thā
kuchh  ishq-o-āshiqī  pe  nahīñ  merā  e'tiqād
maiñ  jis  ko  chāhtā  thā  hasīñ  intihā  kā  thā
jal  kar  girā  huuñ  sūkhe  shajar  se  uḌā  nahīñ
maiñ  ne  vahī  kiyā  jo  taqāzā  vafā  kā  thā
tārīk  raat  mausam-e-barsāt  jān-e-zār
girdāb  pīchhe  sāmne  tūfāñ  havā  kā  thā
ik  umr  ba.ad  bhī  na  shifā  ho  sake  to  kyā
rag  rag  meñ  zahr  sadiyoñ  kī  āb-o-havā  kā  thā
go  rāhzan  kā  vaar  bhī  kuchh  kam  na  thā  magar
jo  vaar  kārgar  huā  vo  rahnumā  kā  thā
'akbar'  jahāñ  meñ  kār-kushā.ī  butoñ  kī  thī
achchhā  rahā  jo  mānñe  vaalā  ḳhudā  kā  thā