abhī  zamīn  ko  haft  āsmāñ  banānā  hai
isī  jahāñ  ko  mujhe  do-jahāñ  banānā  hai
bhaTak  rahā  hai  akelā  jo  koh-o-sahrā  meñ
us  ek  aadmī  ko  kārvāñ  banānā  hai
ye  shāḳh-e-gul  jo  ghirī  hai  hazār  kāñToñ  meñ
mujhe  isī  se  nayā  gulistāñ  banānā  hai
maiñ  jāntā  huuñ  mujhe  kyā  banānā  hai  lekin
vahāñ  banāne  se  pahle  yahāñ  banānā  hai
charāġh  le  ke  use  shahr  shahr  DhūñDhtā  huuñ
bas  ek  shaḳhs  mujhe  rāz-dāñ  banānā  hai
hameñ  bhī  umr-guzārī  to  karnī  hai  'akbar'
unheñ  bhī  mashġhala-e-dil-barāñ  banānā  hai