hañsī  meñ  sāġhar-e-zarrīñ  khanak  khanak  jaa.e
shabāb  us  kī  sadā  kā  chhalak  chhalak  jaa.e
dil-o-nazar  meñ  basī  hai  vo  chāñd  sī  sūrat
vo  dil-kashī  hai  ki  bālak  humak  humak  jaa.e
libās  meñ  hai  vo  tarz-e-tapāk-e-ārā.ish
jo  añg  chāhe  chhupānā  jhalak  jhalak  jaa.e
qadam  qadam  tirī  ra.anā.iyoñ  ke  dar  vā  hoñ
ravish  ravish  tirā  āñchal  Dhalak  Dhalak  jaa.e
nafas  nafas  ho  sabā  kī  tarah  bahār-añgez
ufuq  ufuq  gul-e-hastī  mahak  mahak  jaa.e
nashāt-e-qurb  ke  lamhoñ  meñ  us  kī  añgḌā.ī
ubhar  ke  ḳhāk-e-badan  se  dhanak  dhanak  jaa.e
baqā  ke  raaz  haiñ  sab  us  pe  munkashif  'akbar'
vo  shāḳh-e-sabz  havā  se  lachak  lachak  jaa.e