rah-e-gumāñ  se  ajab  kārvāñ  guzarte  haiñ
mirī  zamīñ  se  ka.ī  āsmāñ  guzarte  haiñ
jo  raat  hotī  hai  kaisī  mahaktī  haiñ  galiyāñ
jo  din  nikaltā  hai  kyā  kyā  butāñ  guzarte  haiñ
kabhī  jo  vaqt  zamāne  ko  detā  hai  gardish
mire  makāñ  se  bhī  kuchh  lā-makāñ  guzarte  haiñ
kabhī  jo  dekhte  haiñ  muskurā  ke  aap  idhar
dil-o-nigāh  meñ  kyā  kyā  gumāñ  guzarte  haiñ