raat  aa.ī  hai  bachchoñ  ko  paḌhāne  meñ  lagā  huuñ
ḳhud  jo  na  banā  un  ko  banāne  meñ  lagā  huuñ
vo  shaḳhs  to  rag  rag  meñ  mirī  guuñj  rahā  hai
barsoñ  se  galā  jis  kā  dabāne  meñ  lagā  huuñ
utrā  huuñ  diyā  le  ke  nihāñ-ḳhāna-e-jāñ  meñ
so.e  so.e  aaseb  jagāne  meñ  lagā  huuñ
patthar  huuñ  to  shīshe  se  mujhe  kaam  paḌā  hai
shīsha  huuñ  to  patthar  ke  zamāne  meñ  lagā  huuñ
fankār  ba-zid  hai  ki  lagā.egā  numā.ish
maiñ  huuñ  ki  har  ik  zaḳhm  chhupāne  meñ  lagā  huuñ
kuchh  paḌhnā  hai  kuchh  likhnā  hai  kuchh  ronā  hai  shab  ko
maiñ  kaam  sar-e-shām  chukāne  meñ  lagā  huuñ
aise  meñ  to  ab  sabr  bhī  mushkil  huā  'akbar'
sab  kahte  haiñ  maiñ  us  ko  bhulāne  meñ  lagā  huuñ