tamām  ālam-e-imkāñ  mire  gumān  meñ  hai
vo  tiir  huuñ  jo  abhī  vaqt  kī  kamān  meñ  hai
abhī  vo  sub.h  nahīñ  hai  ki  merā  kashf  khule
vo  harf-e-shām  huuñ  jo  ajnabī  zabān  meñ  hai
in  āñganoñ  meñ  haiñ  barsoñ  se  ek  se  din  raat
yahī  rukā  huā  lamha  har  ik  makān  meñ  hai
ye  aks-e-āb  hai  yā  is  kā  dāman-e-rañgīñ
ajiib  tarah  kī  surḳhī  sī  bādbān  meñ  hai
jahāñ  dalīl  ko  patthar  se  toḌnā  Thahre
vo  shahr-e-sañg-dilāñ  saḳht  imtihān  meñ  hai
mujhe  adū  kī  baqā  bhī  aziiz  hai  'akbar'
ki  ek  phuul  sī  dīvār  darmiyān  meñ  hai