sharār-e-sañg  jo  is  shor-o-shar  se  niklegā
jalūs-e-lāla-o-nasrīñ  kidhar  se  niklegā
maiñ  jāntā  huuñ  ki  us  kī  ḳhabar  na  aa.egī
tanāzur  us  kā  magar  har  ḳhabar  se  niklegā
sabhī  asiir  hue  apnī  apnī  sub.hoñ  ke
vo  koī  hogā  jo  qaid-e-sahar  se  niklegā
kisī  ko  apne  sivā  kuchh  nazar  nahīñ  aatā
jo  dīda-var  hai  tilism-e-nazar  se  niklegā
jalāl-e-husn  dikhā  mere  māhtāb-e-jamāl
tū  raushnī  hai  shaboñ  ke  asar  se  niklegā
shaboñ  ko  jāgte  ho  jis  ke  ḳhvāb  meñ  'akbar'
vo  shāhkār  kamāl-e-hunar  se  niklegā