naam  'akbar'  to  mirā  maañ  kī  duā  ne  rakkhā
haañ  bharam  us  kā  magar  mere  ḳhudā  ne  rakkhā
vo  bhī  din  thā  ki  tire  aane  kā  paiġhām  aayā
tab  mire  ghar  meñ  qadam  bād-e-sabā  ne  rakkhā
kis  tarah  logoñ  ne  māñgīñ  thiiñ  duā.eñ  us  kī
kuchh  lihāz  is  kā  na  be-mehr  havā  ne  rakkhā
aise  hālāt  meñ  ik  roz  na  jī  sakte  the
ham  ko  zinda  tire  paimān-e-vafā  ne  rakkhā
ittifāqāt  ke  pīchhe  bhī  haiñ  asbāb-o-ilal
ik  na  ik  apnā  sabab  dast-e-qazā  ne  rakkhā
jis  ne  rakkhā  tirī  miTtī  huī  qadroñ  kā  lihāz
kuchh  ḳhayāl  is  kā  nahīñ  tū  ne  zamāne  rakkhā
sirf  'akbar'  hī  nahīñ  dekh  ke  tasvīr  huā
sab  ko  hairāñ  tire  naqsh-e-kaf-e-pā  ne  rakkhā