mujhe  likkho  vahāñ  kyā  ho  rahā  hai
yahāñ  to  phir  tamāshā  ho  rahā  hai
havā  ke  dosh  par  hai  āshiyāna
parinda  tinkā  tinkā  ho  rahā  hai
abhī  parvāz  kī  fursat  hai  kis  ko
abhī  to  dāna-dunkā  ho  rahā  hai
koī  nādīda  uñglī  uTh  rahī  hai
mirī  jānib  ishāra  ho  rahā  hai
vo  apne  haath  sīdhe  kar  rahe  haiñ
hamārā  shahr  ulTā  ho  rahā  hai
na  jaane  kis  taraf  se  likkhā  jaa.e
chaman  dīvār-e-fardā  ho  rahā  hai