harīf-e-gardish-e-ayyām  to  bane  hue  haiñ
vo  ā.eñge  nahīñ  ā.eñge  ham  saje  hue  haiñ
baḌā  hī  ḳhushiyoñ  bharā  hañstā-bastā  ghar  hai  mirā
isī  liye  to  sabhī  qumqume  jale  hue  haiñ
vo  ḳhud-pasand  hai  ḳhud  ko  hī  dekhnā  chāhe
so  us  ke  chāroñ  taraf  aa.ine  lage  hue  haiñ
ye  kis  hasīñ  kī  savārī  guzarne  vaalī  hai
jo  kā.enāt  ke  sab  rāste  saje  hue  haiñ
mahak  rahī  hai  fazā  us  badan  kī  ḳhushbū  se
chaman  harā-bharā  hai  phuul  bhī  khile  hue  haiñ
maiñ  us  kī  samt  meñ  ḳhud  rāsta  banā.ūñgā
vagarna  us  kī  taraf  rāste  bane  hue  haiñ