zamīñ  par  mo.ajiza  karne  kī  sāzish
butoñ  ko  devtā  karne  kī  sāzish
hamārā  chīḳhnā  jismoñ  ke  andar
ḳhamoshī  ko  sadā  karne  kī  sāzish
daraḳhtoñ  par  banānā  naqsha  dil  ke
inheñ  goyā  harā  karne  kī  sāzish
kushāda  ik  qafas  hai  āsmāñ  bhī
ise  kiije  ḳhalā  karne  kī  sāzish
hamīñ  se  manziloñ  kā  kaam  lenā
hamīñ  ko  rāsta  karne  kī  sāzish
ye  har  mausam  parindoñ  ko  uḌānā
ye  pinjroñ  ko  ḳhafā  karne  kī  sāzish
tujhe  mujh  se  tavaqqo.a  hī  nahīñ  kuchh
mujhe  ya.anī  ḳhudā  karne  kī  sāzish