dariyā  se  iḳhtilāt  hai  ham  ro  nahīñ  rahe
ronā  hamārī  zaat  hai  ham  ro  nahīñ  rahe
is  bad-dimāġh  dil  ne  kiyā  zabt  kā  bhī  ḳhuun
ye  sirf  vārdāt  hai  ham  ro  nahīñ  rahe
kitne  dinoñ  ke  ba.ad  ḳhushī  se  mile  haiñ  ham
phir  bhī  ajiib  baat  hai  ham  ro  nahīñ  rahe
ye  din  bhī  koī  din  thā  ajab  ḳhush-gavār  din
ye  raat  koī  raat  hai  ham  ro  nahīñ  rahe
rone  lage  to  kaun  hameñ  chup  karā.egā
so  is  kā  ehtiyāt  hai  ham  ro  nahīñ  rahe
aañsū  kamā.e  haiñ  so  tire  diin  ke  liye
maulā  yahī  zakāt  hai  ham  ro  nahīñ  rahe