jo  karte  the  ulTā-sīdhā  karte  the
ham  patthar  pe  dariyā  pheñkā  karte  the
is  jañgal  ke  peḌoñ  se  maiñ  vāqif  huuñ
gir  jaate  the  jis  par  saaya  karte  the
maiñ  bastī  meñ  titlī  pakḌā  kartā  thā
baaqī  saare  log  to  jhagḌā  karte  the
kuchh  bachche  sailāboñ  meñ  bah  jaate  haiñ
ham  palkoñ  se  dariyā  rokā  karte  the
jaao  koī  tār-vār  nahīñ  girtā
ham  hī  chhat  se  jugnū  pheñkā  karte  the
sab  rūheñ  zehnoñ  par  kapḌā  rakhtī  thiiñ
ham  bas  jismoñ  kā  hī  parda  karte  the
roz  mushāhid  rahte  the  ham  shaam  talak
phir  sūraj  kā  māthā  chūmā  karte  the
maiñ  us  aag  meñ  jism  jalā  kar  aayā  thā
jis  meñ  saare  āñkheñ  sekā  karte  the